Maqtal-e-Maula Imam Hussain 1-6 Lyrics in Urdu and Roman Urdu

Maqtal-e-Maula Imam Hussain 1-6 Lyrics in Urdu and Roman Urdu

مقتلِ مولاؑ اِمام حُسینؑ7تا11 

Ghareeb-e-Zahra Ki Ghurbat Sunu Aye Ahl-e-Azza.
Akela Reh Gaya Maqtal Mein Jab Mera Maula.
Sipah-e-Sham Ne Charon Taraf Se  Ghair Liye.
Lab-e-Furat Tha Har Aik Khon Ka Pyasa.
Tha Gul Charag-e-Imamat Abhi Bhujana Hai.
Arey Zameen Pe Zeen Se Shabir Ko Girana Hai.
Yeh Sun Ke Sang Kissi Ne Jabeen Pe Mara.
Kissi Ne Pehlu Mein Barchi Ka Phal Utar Diya.
Aray Kissi Ne Samne Aa Kar Chalai Taig-e-Jafa.
Ghareeb-e-Zahra Ka Zeen Par Sanbhalna Mushkil Tha.
Ali-o-Zahra Ko Ran Mein Rulaya Jata Tha.
Aray Hussain Girtay Nahi They Giraya Jata Tha.
Laga Jo Teer Tu Asghar Ko Sheh Ne Yaad Kiya.
Pukara Ghazi Ko Jis Waqt Sar Pe Gurz Laga.
Lagi Jo Barchi Tu Akbar Ko Di Tarap Ke Sada.
Tamacha Kholi Ne Mara Tu Bolay Ya Zahra.
Ali Ko Yaad Kiya Sar  Pe Zarb Chaltay Howay.
Hassan Ko Yaad Kiya Munh Se Khoon Ugaltay Howay.
Zameen Pe Zeen Se Hazrat Jo Munh Ke Bal Aaye.
Jo Teer Seene Pe They Pusht Se Nikal Aaye.
Nikal Ke Pehlu Se Sab Barchiyon Ke Phal Aaye.
Qarar Kis Tarha Ab Sheh Ko Aik Pal Aaye.
Rakabein Pairon Se Ibn-e-Ali Ki Choot Gayin.
Tamam Pasliyaan Sibt-e-Nabi Ki Toot Gayiyn.
Raqam Kiya Hai Yeh Ravi Ne Dard Ka Manzar.
Ke Chalne Wala Tha Jis Dam Hussain Par Khanjar.
Aray Behan Se Aagay Khari Thi Hussain Ki Dukhtar.
Kaha Yeh Shimar Se Oss Dam Ghareeb Ne Ro Kar.
Meri Sakina Kahin Dam Na Toor Dey Zalim.
Tu Reham Kar Mere Baloon Ko Choor Dey Zalim.
Para Tha Dasht Mein Be-Jaan Batool Ka Beta.
Hussain Zinda Hain Kya Shimar Se Kissi Ne Kaha.
Qareeb Ja Ke Yeh Di Shimar Ne Phir Hans Ke Sada.
Arey Woh Dekho Aa Gayi Maqtal Mein Sani-e-Zahra.
Yeh Suntey Hi Sheh-e-Dilgeer Uth Ke Beth Gaye.
Behan Ke Naam Pe Shabir Uth Ke Beth Gaye.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2019-20:
New Nohay Lyrics 1441 Hijri 2019
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment