Deti Hai Zanjeer Gawahi Kis Ka Hai Taboot Utha Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Deti Hai Zanjeer Gawahi Kis Ka Hai Taboot Utha Lyrics In Urdu and Roman Urdu

دیتی ہے زنجیر گواہی کس کا ہے تابوت اُٹھا

Chodah Saal Ke Baad Howa Hai Zindaan Se Mazloom Raha.
Kariyon Mein Paband Janaza Le Ke Hain Mazdoor Chaley.
Karne Lagi Hai Aap Ghareebi Matam Mosa Kazim Ka.
Haye Baad Shahadat Ke Bhi Pusht Na Seedhi Hoti Thi.
Chodah Saal Raku Mein Reh Kar Maula Ka Yeh Haal Howa.
Dekh Ke Halat Bewah Maa Ki Betiyaan Hain Be Haal Hoin.
Sar Mein Khak-e-Yateemi Le Kar Rota Hai Mazloom Raza.
Angoron Mein Zehar Khila Kar Mara Hai Pardesi Ko.
Hi Al-Qurba Ka Aal-e- Nabi Ko Ummat Ne Yeh Ajar Diya.
Jo Tha Satwaan Rukan-e- Imamat Dhaya Zalim Logon Ne.
Galiyon Mein Baghdad Ki Ro Kar Deta Hai Jibreel Sada.
Kalma Go Batlao Kiya Yeh Pak Nabi Ka Khon Nahi.
Be Waris Baghdad Ke Pul Par Jis Ka Hai Taboot Para.
Kar Ke Raqam Maula Ke Musayab Rota Hai :JAWAD: Qalam.
Kazim Ka Hai Soag Manati Kar Ke Matam Aap Qaza.
Poet: :Jawad Jafri:
Noha Khuwan: :Rizwan Zaidi:
Noha Volume: :Rizwan Zaidi 2019-20:
Composition: :Rizwan Zaidi:
#DetiHaiZanjeerGawahi
#NohayLyrics
#tajpoint

Leave a Comment