Dama Dam Mast Qalandar Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Dama Dam Mast Qalandar Lyrics In Urdu and Roman Urdu

دما دم مست قلندر

Pila Saqi Pila Jam-e-Qalandar.
Piein Gaye Le Ke Naam-e-Qalandar.
Suna Hai Hum Ne Waliyon Se Suna Hai.
Keh Yeh Shahbaz Dast-e-Auliya Hai.
Keh Iss Ka Shajrah Bhi Haq Se Mila Hai.
Imam-e-Sadiq Ke Yeh Silsila Hai.
Siyadat Tu Hai Ahram-e-Qalandar.
Qalandar Our Qutab Yeh Hain Jo Sare.
Hain Darya-e-Taswuf Ke Sitare.
Inhein Mushkil Mein Jo Jo Bhi Pukare.
Ali Ke Sadqay Mein Dein Gaye Sahare.
Hai Ahl-e-Bait Pegham-e-Qalandar.
Kabhi Shabir-o-Abid Ko Pukara.
Baha Ke Ashk Hasti Ko Guzara.
Kiya Dhamal Mein Haq Ka Nazara.
Ali Dam Dam Ali Dam Ka Nara.
Yehi Tha Dein-o-Islam-e-Qalandar.
Jahan Par Bhi Hain Matamdar-e-Sarwar.
Jo Matam Karte Hain Sehwan Mein Ja Kar.
Unhein Milta Hai Jab Izn-e-Qalandar.
Lagate Hain Wahan Zanjeer Ro Kar.
Yeh Unn Sab Par Hai Ilham-e-Qalandar.
Qalandar Lal Par Har Shair Mera.
Yeh Aik Syed Ko Hai Syed Ka Tohfa.
Aye :MAJID: Yeh Kalam-e-Haq Hai Sara.
:WAJHI: Iss Nazm Ko Karta Hai Hadiya.
Mile Ga Aaj Inam-e-Qalandar.
Poet: :Allama Dr Majid Raza Abidi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2005-06:
#DamaDamMastQalandar
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Leave a Comment